Bhakti Voice
Stotra & Chalisa8 min read

Shri Sai Baba Chalisa

Read the Shri Sai Baba Chalisa lyrics in English (Hinglish) and Hindi. Learn about the benefits of chanting Sai Chalisa for peace, healing, and devotion.

T

Traditional / Devotees

Writer & Research Team

Updated: 2026-08-26
Shirdi Sai Baba sitting on his stone - Sai Chalisa
Stotra & Chalisa

The Sai Baba Chalisa is a 40-verse devotional hymn dedicated to Shirdi Sai Baba, an revered saint who taught the values of love, forgiveness, inner peace, and devotion to God. Reciting this chalisa brings immense spiritual peace, cures physical and mental ailments, and helps the devotee cultivate 'Shraddha' (faith) and 'Saburi' (patience).

Sacred Heritage

Timeless Temple Tradition

Architectural Wonder

Ancient Vedic Mastery

Scriptural Origin

Puranic & Epic History

Spiritual Sadhana

Living Faith & Wisdom

**Shri Sai Baba Chalisa** Pehle Sai ke charanon mein, apna sheesh namaaun main. Kaise Shirdi Sai aaye, saara haal sunaaun main॥ Kaun hai mata, pita kaun hai, ye na kisi ne bhi jaana. Kahan janm Sai ne dhaara, prashn paheli raha bana॥ Koi kahe Ayodhya ke, ye Ramchandra Bhagwan hain. Koi kehta Sai Baba, Pavan Putra Hanuman hain॥ Koi kehta Mangal Murti, Shri Gajanan hain Sai. Koi kehta Gokul Mohan, Devaki Nandan hain Sai॥ Shankar samjhe bhakt kai to, Baba ko bhajte rehte. Koi kahe avataar Datt ka, pooja Sai ki karte॥ Kuchh bhi maano unko tum, par Sai hain sachche Bhagwan. Bade dayalu deenbandhu, kitnon ko diya jeevan daan॥ Kai varsh pehle ki ghatna, tumhein sunaaunga main baat. Kisi bhaagyashaali ki, Shirdi mein aayi thi baraat॥ Aaya saath usi ke tha, baalak ek bahut sundar. Aaya, aakar wahin bas gaya, paavan Shirdi kiya nagar॥ Kai dinon tak bhatakta, bhiksha maang usne dar-dar. Aur dikhai aisi leela, jag mein jo ho gayi amar॥ Jaise-jaise umr badhi, badhti hi vaise gayi shaan. Ghar-ghar hone laga nagar mein, Sai Baba ka gungaan॥ Dig-digant mein laga goonjane, phir to Sai ji ka naam. Deen-dukhi ki raksha karna, yahi raha Baba ka kaam॥ Baba ke charanon mein jaakar, jo kehta main hoon nirdhan. Daya usi par hoti unki, khul jaate dukh ke bandhan॥ Kabhi kisi ne maangi bhiksha, do Baba mujhko santaan. Evamastu tab kahkar Sai, dete the usko vardaan॥ Swayam dukhi Baba ho jaate, deen-dukhi jan ka lakh haal. Antahkaran Shri Sai ka, saagar jaisa raha vishaal॥ Bhakt ek Madrasi aaya, ghar ka bahut bada dhanvaan. Maal-khazaana behad uska, keval nahin rahi santaan॥ Laga manaane Sainath ko, Baba mujh par daya karo. Jhanjha se jhankrit naiya ko, tumhi meri paar karo॥ Kuldeepak ke bina andhera, chhaaya hua ghar mein mere. Isliye aaya hoon Baba, hokar sharanagat tere॥ Kuldeepak ke abhaav mein, vyarth hai daulat ki maaya. Aaj bhikhari bankar Baba, sharan tumhaari main aaya॥ De do mujhko putra-daan, main rinī rahunga jeevan bhar. Aur kisi ki aasha na mujhko, sirf bharosa hai tum par॥ Anunay-vinay bahut ki usne, charanon mein dhar ke sheesh. Tab prasann hokar Baba ne, diya bhakt ko yah aashish॥ ‘Allah bhala karega tera’, putra janm ho tere ghar. Kripa rahegi tujh par uski, aur tere us baalak par॥ Ab tak nahin kisi ne paaya, Sai ki kripa ka paar. Putra-ratna de Madrasi ko, dhanya kiya uska sansaar॥ Tan-man se jo bhaje usi ka, jag mein hota hai uddhaar. Saanch ko aanch nahin hai koi, sada jhooth ki hoti haar॥ Main hoon sada sahaare uske, sada rahunga uska daas. Sai jaisa Prabhu mila hai, itni hi kam hai kya aas॥ Mera bhi din tha ek aisa, milti nahin mujhe roti. Tan par kapda door raha tha, shesh rahi nanhi si langoti॥ Sarita sanmukh hone par bhi, main pyaasa ka pyaasa tha. Durdin mera mere upar, daavaagni barsaata tha॥ Dharti ke atirikt jagat mein, mera kuchh avalamb na tha. Bana bhikhari main duniya mein, dar-dar thokar khaata tha॥ Aise mein ek mitra mila jo, param bhakt Sai ka tha. Janjaalon se mukt magar, jagat mein vah bhi mujhsa tha॥ Baba ke darshan ki khaatir, mil dono ne kiya vichaar. Sai jaise daya-murti ke, darshan ko ho gaye taiyaar॥ Paavan Shirdi nagar mein jaakar, dekh matvaali moorti. Dhanya janm ho gaya ki hamne, jab dekhi Sai ki soorat॥ Jab se kiye hain darshan hamne, dukh saara kafoor ho gaya. Sankat saare mite aur, vipdaon ka ant ho gaya॥ Maan aur sammaan mila, bhiksha mein humko Baba se. Pratibimbit ho uthe jagat mein, hum Sai ki aabha se॥ Baba ne sanmaan diya hai, maan diya is jeevan mein. Iska hi sambal le main, hansta jaaunga jeevan mein॥ Sai ki leela ka mere, man par aisa asar hua. Lagta jagti ke kan-kan mein, jaise ho vah bhara hua॥ ‘Kashiram’ Baba ka bhakt, Shirdi mein rehta tha. Main Sai ka, Sai mera, vah duniya se kehta tha॥ Seeker swayam vastra bechta, graam-nagar bazaaron mein. Jhankrit uski hriday-tantri thi, Sai ki jhankaaron mein॥ Stabdh nisha thi, the soye, rajni aanchal mein chaand sitaare. Nahin soojhta raha haath ko haath, timir ke maare॥ Vastra bechkar laut raha tha, haay! haat se Kashi. Vichitra bada sanyog ki us din, aata tha ekaaki॥ Gher raah mein khade ho gaye, use kutil anyaayi. Maaro-kaato looto iski hi, dhvani padi sunaai॥ Loot-peetkar use wahan se, kutil gaye champat ho. Aaghaaton mein marm-aahat ho, usne di sangya kho॥ Bahut der tak pada raha vah, wahin usi haalat mein. Jaane kab kuchh hosh hua, wahin uski palak mein॥ Anjaane hi uske munh se, nikal pada tha Sai. Jiski pratidhvani Shirdi mein, Baba ko padi sunaai॥ Kshubdh ho utha maanas unka, Baba gaye vikal ho. Lagta jaise ghatna saari, ghati unhin ke sanmukh ho॥ Unmaadi se idhar-udhar tab, Baba lage bhatakne. Sanmukh cheezen jo bhi aayi, unko lage patakne॥ Aur dhadhakte angaaron mein, Baba ne apna kar daala. Hue sashankit sabhi wahan, lakh taandav-nritya niraala॥ Samajh gaye sab log ki koi, bhakt pada sankat mein. Kshubhit khade the sabhi wahan, par pade hue vismay mein॥ Use bachaane ki hi khaatir, Baba aaj vikal hai. Uski hi peeda se peedit, unka antahsthal hai॥ Itne mein hi vividha ne apni, vichitrata dikhlaai. Lakh kar jiski janata ki, shraddha sarita lahraai॥ Lekar sangyaheen bhakt ko, gaadi ek wahan aayi. Sanmukh apne dekh bhakt ko, Sai ki aankhen bhar aayi॥ Shaant, dheer, gambheer, sindhu-sa, Baba ka antahsthal. Aaj na jaane kyon rah-rahkar, ho jaata tha chanchal॥ Aaj daya ki moorti swayam tha, bana hua upchaari. Aur bhakt ke liye aaj tha, dev bana pratihari॥ Aaj bhakt ki visham pareeksha mein, safal hua tha Kashi. Usi ke darshan ki khaatir the, umde nagar-nivaasi॥ Jab bhi aur jahan bhi koi, bhakt pade sankat mein. Uski raksha karne Baba, aate hain palbhar mein॥ Yug-yug ka hai satya yah, nahin koi nai kahaani. Aapadgrast bhakt jab hota, jaate khud antaryaami॥ Bhedbhaav se pare pujaari, maanavta ke the Sai. Jitne pyaare Hindu-Muslim, utne hi the Sikh-Isai॥ Bhed-bhaav mandir-masjid ka, tod-phod Baba ne daala. Raah Raheem sab unke the, Krishna-Kareem Allah-Taala॥ Ghante ki pratidhvani se goonja, masjid ka kona-kona. Mile paraspar Hindu-Muslim, pyaar badha din-din doona॥ Chamatkaar tha kitna sundar, parichay is kaaya ne di. Aur neem ki kadvaahat mein bhi, mithaas Baba ne bhar di॥ Sabko sneh diya Sai ne, sabko santulit pyaar kiya. Jo kuchh jisne bhi chaaha, Baba ne usko wahi diya॥ Aise sneh-sheel bhaajan ka, naam sada jo japa kare. Parvat jaisa dukh na kyon ho, palbhar mein vah door tare॥ Sai jaisa daata hamne, are nahin dekha koi. Jiske keval darshan se hi, saari vipda door gayi॥ Tan mein Sai, man mein Sai, Sai-Sai bhaja karo. Apne tan ki sudh-budh khokar, sudh uski tum kiya karo॥ Jab tu apni sudh taj, Baba ki sudh kiya karega. Aur raat-din Baba-Baba, hi tu rata karega॥ To Baba ko are! vivash ho, sudh teri leni hi hogi. Teri har ichchha Baba ko, poori hi karni hogi॥ Jangal-jangal bhatak na paagal, aur dhoondhne Baba ko. Ek jagah keval Shirdi mein, tu paayega Baba ko॥ Dhanya jagat mein praani hai vah, jisne Baba ko paaya. Dukh mein, sukh mein prahar aath ho, Sai ka hi gun gaaya॥ Gire sankaton ke parvat, chahe bijli hi toot pade. Sai ka le naam sada tum, sanmukh sabke raho ade॥ Is boodhe ki sun karamat, tum ho jaaoge hairaan. Dang rah gaye sunkar jisko, jaane kitne chatur sujaan॥ Ek baar Shirdi mein saadhu, dhoongi tha koi aaya. Bholi-bhaali nagar-nivaasi, janata ko tha bharmaaya॥ Jadi-bootiyan unhein dikhaakar, karne laga vah bhaashan. Kehne laga suno shrotaagan, ghar mera hai Vrindaavan॥ Aushadhi mere paas ek hai, aur ajab ismein shakti. Iske sevan karne se hi, ho jaati dukh se mukti॥ Agar mukt hona chaaho tum, sankat se beemaari se. To hai mera namra nivedan, har nar se, har naari se॥ Lo khareed tum isko, iski sevan vidhiyaan hain nyaari. Yadyapi tuchchh vastu hai yah, gun uske hain ati bhaari॥ Jo hai santatiheen yahan yadi, meri aushadhi ko khaaye. Putra-ratna ho praapt, are vah munh-maanga phal paaye॥ Aushadhi meri jo na khareede, jeevan bhar pachhtaayega. Mujh jaisa praani shayad hi, are yahan aa paayega॥ Duniya do dinon ka mela hai, mauj-shauk tum bhi kar lo. Agar isse milta hai sab kuchh, tum bhi isko le lo॥ Hairaani badhti janata ki, dekh iski kaarastaanee. Pramudit vah bhi man hi man tha, dekh logon ki naadaani॥ Khabar sunaane Baba ko yah, gaya daudkar sevak ek. Sunkar bhrikuti tani aur, vismaran ho gaya sabhi vivek॥ Hukm diya sevak ko, satvar pakad dusht ko lao. Ya Shirdi ki seema se, kapti ko door bhagao॥ Mere rahte bholi-bhaali, Shirdi ki janata ko. Kaun neech aisa jo, saahas karta hai chhalne ko॥ Palbhar mein aise dhongi, kapti neech lutere ko. Mahaanash ke mahaagart mein pahuncha doon jeevan bhar ko॥ Tanik mila aabhaas madaari, kroor, kutil anyaayi ko. Kaal naachta hai ab sir par, gussa aaya Sai ko॥ Palbhar mein sab khel band kar, bhaaga sir par rakhkar pair. Soch raha tha man hi man, Bhagwan nahin hai ab khair॥ Sach hai Sai jaisa daani, mil na sakega jag mein. Ansh Ish ka Sai Baba, unhein na kuchh bhi mushkil jag mein॥ Sneh, sheel, saujanya aadi ka, aabhooshan dhaaran kar. Badhta is duniya mein jo bhi, maanav seva ke path par॥ Wahi jeet leta hai jagat ke, jan-jan ka antahsthal. Uski ek udaasi hi, jag ko kar deti hai vihval॥ Jab-jab jag mein bhaar paap ka, badh-badh hi jaata hai. Use mitaane ki hi khaatir, avataari hi aata hai॥ Paap aur anyaay sabhi kuchh, is jagti ka har ke. Door bhaga deta duniya ke, daanav ko kshan bhar ke॥ Aise hi avataari Sai, mrityulok mein aakar. Samta ka yah paath padhaaya, sabko apna aap mitaakar॥ Naam Dwarka Masjid ka, rakha Shirdi mein Sai ne. Daap, taap, santaap mitaaya, jo kuchh aaya Sai ne॥ Sada yaad mein mast Ram ki, baithe rehte the Sai. Pahar aath hi Ram naam ko, bhajte rehte the Sai॥ Sookhi-rookhi taazi-baasi, chahe ya hove pakwaan. Sauda pyaar ke bhookhe Sai ki, khaatir the sabhi samaan॥ Sneh aur shraddha se apni, jan jo kuchh de jaate the. Bade chaav se us bhojan ko, Baba paavan karte the॥ Kabhi-kabhi man behlaane ko, Baba baag mein jaate the. Pramudit man mein nirakh prakriti, aanandit ve ho jaate the॥ Rang-birange pushp baag ke, mand-mand hil-dul karke. Beehad veerane man mein bhi, sneh salil bhar jaate the॥ Aisi sumadhur bela mein bhi, dukh aapaat, vipda ke maare. Apne man ki vyatha sunaane, jan rehte Baba ko ghere॥ Sunkar jinki karun-katha ko, nayan kamal bhar aate the. De Vibhuti har vyatha, shaanti, unke ur mein bhar dete the॥ Jaane kya adbhut shakti, us Vibhuti mein hoti thi. Jo dhaaran karte mastak par, dukh saara har leti thi॥ Dhanya manuj ve saakshaat darshan, jo Baba Sai ke paaye. Dhanya kamal kar unke jinse, charan-kamal ve parsaaye॥ Kaash nirbhay tumko bhi, saakshaat Sai mil jaata. Varshon se ujda chaman apna, phir se aaj khil jaata॥ Gar pakadta main charan Shri ke, nahin chhodta umr-bhar. Mana leta main zaroor unko, gar roothte Sai mujh par॥

Why this matters today

Read the Shri Sai Baba Chalisa lyrics in English (Hinglish) and Hindi. Learn about the benefits of chanting Sai Chalisa for peace, healing, and devotion.

?

Frequently asked questions

What is the best day to read Sai Baba Chalisa?

Thursdays are universally regarded as the most auspicious day for worshipping Sai Baba. Reading his Chalisa on Thursday evenings is highly beneficial.

What are the core teachings of Sai Baba?

Sai Baba's core teachings revolve around two pillars: Shraddha (absolute faith in God/Guru) and Saburi (patience and perseverance in life).

Can I read Sai Chalisa at home?

Yes, it is perfectly fine and encouraged to read the Sai Chalisa at home. Set up a clean space, light a diya or incense, and read with a calm mind.

Does reading Sai Chalisa fulfill wishes?

Devotees firmly believe that reciting the Chalisa continuously for 40 days (a Mandala) with pure devotion leads to the fulfillment of earnest wishes.

Are there any strict rules for reading it?

Sai Baba preached simplicity. There are no strict dogmatic rules, but physical cleanliness and purity of heart are essential.